patras ki pehali chitthi 2:1-25

  • vachan ke liye zabardast bhookh paida karo (1-3)

  • jeevit pattharon se bhavan banta hai (4-10)

  • duniya mein pardesiyon ki tarah jeena (11, 12)

  • sahi tarah ki adheenta (13-25)

    • maseeh hamara aadarsh (21)

2  isliye har tarah ki burai, chhal, kapat, irshya, peeth peechhe badnam karna, yah sab khud se door karo.+  navjat shishuon ki tarah+ shuddh* doodh ke liye yaani parmeshvar ke vachan ke liye zabardast bhookh paida karo taaki tum badhte raho aur uddhaar paao.+  kyonki tumne khud chakhkar jaana hai* ki prabhu kitna kripalu hai.  prabhu woh jeevit patthar hai jise insanon ne thukra diya,+ magar woh parmeshvar ka chuna hua hai aur uske liye beshkeemti hai. tum prabhu ke paas aaye ho+  isliye tum khud bhi jeevit patthar ho aur pavitra shakti se ek bhavan ke roop mein tumhara nirman kiya jaa raha hai.+ yah isliye kiya jaa raha hai taaki tum pavitra yaajkon ka dal bano aur yeeshu maseeh ke zariye parmeshvar ko aise balidan chadhao jo pavitra shakti ke mutabik hon aur use manzoor hon.+  kyonki shastra kehta hai, “dekh! main siyyon mein ek chuna hua patthar rakhta hoon. yah kone ka woh keemti patthar hai jiski main ninv daal raha hoon. aur jo koi us par vishvas karta hai woh kabhi nirash nahin hoga.”*+  woh tumhare liye beshkeemti hai kyonki tum vishvasi ho. magar avishvasiyon ke baare mein shastra kehta hai, “jis patthar ko raajmistriyon ne thukra diya,+ vahi kone ka mukhya patthar ban gaya hai”+  aur unke liye woh “thokar khilanevala patthar aur thes pahunchanevali chattan” ban gaya hai.+ woh isliye thokar khaate hain kyonki woh vachan ki aagya nahin maante. unka ant isi tarah hona hai.  magar tum “ek chuni hui jaati, shaahi yaajkon ka dal aur ek pavitra raashtra ho+ aur parmeshvar ki khaas jaageer banne ke liye chune gaye log ho+ taaki tum saari duniya mein uske mahan gunon* ka ailan karo”+ jisne tumhein andhkar se nikaalkar apni shaandar raushni mein bulaya hai.+ 10  kyonki ek vakt aisa tha jab tum parmeshvar ke log nahin the, magar ab uske log ho.+ tum aise the jin par daya nahin ki gayi thi, magar ab aise log ho jin par daya ki gayi hai.+ 11  pyare bhaaiyo, main tumse guzarish karta hoon ki is duniya mein pardesiyon aur pravasiyon ki tarah+ jeete huye shareer ki ichhaon se khud ko door rakho,+ jo tum par haavi hone ki koshish karti hain.+ 12  duniya ke logon ke beech tum badhiya chaalchalan banaye rakho+ taaki jab woh tum par bure kaam karne ka dosh lagayen, to apni aankhon se tumhare bhale kaam dekh sakein+ aur us din parmeshvar ki mahima karein jis din woh jaanch karne aayega. 13  prabhu ki khaatir khud ko insan ke thehraye adhikar ke adheen karo:+ raja ke adheen+ kyonki woh sabse bada adhikari hai 14  ya raajyapalon ke adheen, jinhein usne bure kaam karnevalon ko saza dene aur achhe kaam karnevalon ki taareef karne ke liye bheja hai.+ 15  kyonki parmeshvar ki marzee yahi hai ki tum achhe kaam karke aise moorkhon ka munh band karo* jo bina soche-samjhe tumhare khilaf bolte hain.+ 16  aazad logon ki tarah jeeo,+ magar apni aazadi ko bure kaam karne ke liye aad* mat banao,+ balki parmeshvar ke daas bankar jeeo.+ 17  har kism ke insan ka aadar karo,+ bhaaiyon ki saari biradri se pyar karo,+ parmeshvar ka dar maano,+ raja ka aadar karo.+ 18  sevkon ko apne maalikon ke adheen rehna chahiye aur jaisa dar maanna sahi hai,+ unka vaisa dar maanna chahiye. unhein na sirf bhale aur lihaz karnevale maalikon ke adheen rehna chahiye, balki unke bhi jinhein khush karna mushkil hai. 19  kyonki agar koi parmeshvar ke saamne apna zameer saaf banaye rakhne ke liye mushkilein* aur naainsafi sehta hai, to parmeshvar ki nazar mein yah achhi baat hai.+ 20  kyonki agar tumhein paap karne ki vajah se peeta jaata hai aur tum sehte ho, to ismein taareef ki kya baat hai?+ lekin agar tum achha kaam karne ki vajah se dukh sehte ho, to parmeshvar ki nazar mein yah achhi baat hai.+ 21  darasal, tumhein isi raah par chalne ke liye bulaya gaya hai, kyonki maseeh ne bhi tumhari khaatir dukh uthaya+ aur woh tumhare liye ek aadarsh chhod gaya taaki tum uske nakshe-kadam par nazdeeki se chalo.+ 22  usne koi paap nahin kiya,+ na hi uske munh se chhal ki baatein niklin.+ 23  jab uski beizzati ki gayi,*+ to badle mein usne beizzati nahin ki.*+ jab woh dukh jhel raha tha,+ to usne dhamkiyaan nahin di, balki khud ko us parmeshvar ke haath mein saunp diya jo sachcha nyay karta hai.+ 24  jab use kaath* par thonk diya gaya tha+ to usne hamare paapon ko apne shareer par utha liya+ taaki hum apne paapon se aazad hon aur nek kaam karne ke liye jeeyen. aur “uske ghaav se tum change huye.”+ 25  kyonki tum un bhedon ki tarah the jo bhatak gayi thi,+ magar ab tum apne charvahe aur tumhare jeevan ki nigrani karnevale ke paas laut aaye ho.+

kai footnote

ya “bina milavat ke.”
ya “anubhav kiya hai.”
shaa., “sharminda nahin kiya jaayega.”
yaani uske kaabile-taareef gun aur kaam.
shaa., “munh baandh do.”
ya “bahana.”
ya “dukh; dard.”
ya “use gaali di gayi.”
ya “gaali nahin di.”
ya “ped.”