bhajan 146:1-10
146 yaah ki taareef karo!*+
mera rom-rom yahova ki taareef kare.+
2 main saari zindagi yahova ki taareef karoonga,
jab tak main zinda rahoonga, apne parmeshvar ki taareef mein geet gaaunga.*
3 bade-bade adhikariyon* par bharosa mat rakhna,na hi kisi aur insan par, jo uddhaar nahin dila sakta.+
4 uski bhi saans* nikaal jaati hai aur woh mitti mein mil jaata hai,+usi din uske saare vichar mit jaate hain.+
5 sukhi hai woh jiska madadgar yakub ka parmeshvar hai,+jo apne parmeshvar yahova par aasha rakhta hai.+
6 us parmeshvar par jo aakash, dharti,samundar aur unmein jo kuch hai, sabka bananevala hai,+jo hamesha vishvasyogya rehta hai.+
7 woh dhokha khaaye huon ko nyay dilata hai,bhookhon ko roti deta hai.+
yahova kaidiyon* ko chhudata hai.+
8 yahova andhon ki aankhein kholta hai,+yahova jhuke huon ko seedha khada karta hai,+yahova nek logon se pyar karta hai.
9 yahova pardesiyon ki raksha karta hai,anath* aur vidhva ki dekhbhal karta hai,+magar dusht ki chaalein naakam kar deta hai.*+
10 yahova sada ke liye raja bana rahega,+hey siyyon, tera parmeshvar peedhi-peedhi tak raja bana rahega.
yaah ki taareef karo!*
kai footnote
^ ya “hallilooyah!” “yaah” yahova naam ka chhota roop hai.
^ ya “sangeet bajaunga.”
^ ya “haakimon.”
^ shaa., “bandiyon.”
^ ya “jiske pita ki maut ho gayi hai.”
^ ya “dusht ki raah tedhi-medhi kar deta hai.”
^ ya “hallilooyah!” “yaah” yahova naam ka chhota roop hai.