bhajan 25:1-22
daavid ki rachna.
א [aalef ]
25 hey yahova, main teri or mudta hoon.
ב [beth ]
2 mere parmeshvar, mujhe tujh par bharosa hai,+tu mujhe sharminda na hone de.+
mere dushmanon ko meri takaleefon par hansne na de.+
ג [gimel ]
3 beshak, tujh par aasha rakhnevala koi bhi sharminda nahin hoga,+magar jo bevajah daga dete hain woh sharminda honge.+
ד [daalath ]
4 hey yahova, mujhe apni raahein dikha,+mujhe apne raaste sikha.+
ה [hey ]
5 apni sachchai ki raah par mujhe chala aur mujhe sikha,+kyonki tu mera uddhaar karnevala parmeshvar hai.
ו [vaav ]
main poora din tujh par hi aasha rakhta hoon.
ז [jain ]
6 hey yahova, apni daya aur apna atal pyar yaad kar,+jo tu hamesha se dikhata aaya hai.*+
ח [heth ]
7 mainne javani mein jo paap aur apradh kiye, unhein yaad na kar.
hey yahova, apne atal pyar ke mutabik,apni bhalai ke kaaran mujhe yaad kar.+
ט [teth ]
8 yahova bhala aur seedha-sachcha hai.+
isliye woh paapiyon ko jeene ki raah sikhata hai.+
י [yodh ]
9 jo sahi hai uske baare mein* woh deenon ko nirdesh dega,+unhein apni raah par chalna sikhayega.+
כ [kaaf ]
10 jo yahova ka karar maante hain,+uske yaad dilane par uski sunte hain,+unse woh pyar* karta hai, unka vishvasyogya bana rehta hai.
ל [laamedh ]
11 maana ki mainne bada paap kiya hai,fir bhi hey yahova, apne naam ki khaatir mujhe maaf kar de.+
מ [mem ]
12 yahova ka dar maannevala insan kaun hai?+
use parmeshvar sikhayega ki kaun-saa raasta chunna hai.+
נ [noon ]
13 aisa insan bhalai ka aanand uthayega,+uske vanshajon ka dharti par adhikar hoga.+
ס [saamekh ]
14 yahova se gehri dosti sirf woh kar sakte hain jo uska dar maante hain,+woh apne karar ke baare mein unhein batata hai.+
ע [aiyin ]
15 meri aankhein har pal yahova ki taraf lagi rehti hain,+kyonki woh mere pairon ko jaal se chhudayega.+
פ [pe ]
16 meri taraf mud, mujh par kripa kar,main akela aur besahara hoon.
צ [saade ]
17 mere man ki peedayen badh gayi hain,+mujhe dil ki tadap se raahat de.
ר [resh ]
18 meri takaleefein aur museebatein dekh+aur mere sabhi paap maaf kar de.+
19 dekh, mere dushman kaise beshumar ho gaye hain,nafrat ke maare mujhe satana chahte hain.
ש [sheen ]
20 mujhe bacha le, meri jaan ki hifazat kar.+
mujhe sharminda na hone de kyonki mainne teri panah li hai.
ת [taav ]
21 mera nirdosh aur seedha chaalchalan meri hifazat kare,+kyonki mainne tujhi par aasha rakhi hai.+
22 hey parmeshvar, israel ko uski saari museebaton se chhuda le.