bhajan 28:1-9

  • is bhajan ke lekhak ki prarthna suni gayi

    • ‘yahova meri taakat aur dhaal hai’ (7)

daavid ki rachna. 28  hey yahova, meri chattan, main tujhe hi pukarta rehta hoon,+meri prarthna ansuni na kar. agar tu chup rahega,to meri haalaat gaddhe* mein jaanevalon ki tarah ho jaayegi+   jab main madad ke liye pukaroon,tere pavitra-sthan ke bheetri kamre ki taraf apne haath uthaun,+to tu meri duhai sunnaa.   tu dushton ke saath mujhe ghaseet na le jaana,jo nuksan pahunchnevale kaam karte hain,+apne sangi se shaanti ki baatein karte hain, magar unke dil mein mail bhara hota hai.+   unhein unki karni ka fal de,+unke bure kaamon ka sila de. unke kiye ki saza unhein de,unhonne jo kiya hai uska badla unhein de.+   kyonki woh na yahova ke kaamon par,na hi uske haath ke kaamon par dhyan dete hain.+ woh unhein dhaa dega aur dobara khada nahin karega.   yahova ki taareef ho,kyonki usne meri madad ki pukar suni hai.   yahova meri taakat+ aur meri dhaal hai.+ mera dil usi par bharosa karta hai.+ mujhe usse madad mili hai aur mera dil magan hai,isliye main apne geet mein uski taareef karoonga.   yahova apne logon ki taakat hai,woh ek mazboot gadh hai, apne abhishikt jan ko shaandar tareeke se bachata hai.+   apne logon ko bacha le, apni virasat ko aasheesh de.+ unka charvaha ban jaa aur sada unhein apni god mein liye reh.+

kai footnote

ya “kabraa.”