bhajan 46:1-11
korah ke vanshajon+ ka geet. nirdeshak ke liye hidayat: alamot ki shaili* ke mutabik.
46 parmeshvar hamari panah aur taakat hai,+bure vakt mein aasani se milnevali madad hai.+
2 isliye hum nahin dareinge, chahe dharti ulat-pulat ho jaaye,chahe pahad tootkar samundar ki gehrai mein sama jaayen,+
3 chahe samundar garje aur uchhal-uchhalkar fen uthaye,+chahe uski khalbali se pahad buri tarah dolein. (sela )
4 ek nadi hai jiski dhaaraon se parmeshvar ka nagar,param-pradhan ka mahan pavitra dera khushi se jhoom uthta hai.+
5 us nagar mein parmeshvar maujood hai,+ isliye use dhaaya nahin jaa sakta.
pau fatte hi parmeshvar uski madad karne aayega.+
6 raashtra bhadke huye the, raajya ulat diye gaye,parmeshvar ne aavaz buland ki aur dharti pighal gayi.+
7 senaon ka parmeshvar yahova hamare sang hai,+yakub ka parmeshvar hamara uncha gadh hai. (sela )
8 aao, apni aankhon se yahova ke kaam dekho,dharti par usne kaise-kaise aashcharya ke kaam kiye hain.
9 dharti ke kone-kone se woh yuddhon ko mita deta hai.+
teer-kaman tod daalta hai, bhaale choor-choor kar deta hai,yuddh-rathon* ko aag mein bhasm kar deta hai.
10 usne kaha, “haar maan lo aur jaan lo ki main hi parmeshvar hoon.
raashtron mein meri badai ki jaayegi,+saari dharti par meri badai ki jaayegi.”+
11 senaon ka parmeshvar yahova hamare sang hai,+yakub ka parmeshvar hamara uncha gadh hai.+ (sela )