bhajan 5:1-12
daavid ka sureela geet. nahilot* ke liye nirdeshak ko hidayat.
5 hey yahova, meri baatein sun,+meri aahon par dhyan de.
2 meri madad ki pukar sun,kyonki hey mere raja, mere parmeshvar, main tujhi se prarthna karta hoon.
3 hey yahova, bhor ko tu meri aavaz sunega,+bhor ko main apni chinta tujhe bataunga+ aur javab ka intazar karoonga.
4 kyonki tu aisa parmeshvar nahin jo dushtata se khush ho,+jo bura hai woh tere saath nahin reh sakta.+
5 koi bhi magroor tere saamne khada nahin reh sakta.
tu dusht kaam karnevalon se nafrat karta hai,+
6 tu jhooth bolnevalon ka naash kar dega.+
yahova khoonkhar aur dhokhebaz logon* se ghin karta hai.+
7 magar main tere mahan atal pyar+ ki vajah se tere bhavan mein aaunga,+tere pavitra mandir* ki taraf munh karke shraddha aur bhay se dandvat karoonga.+
8 hey yahova, mere dushmanon ki vajah se tu mujhe apni nek raah par le chal,us raah par aanevali har baadha door kar.+
9 unki koi bhi baat bharose ke laayak nahin,unka man maila hai,unka gala ek khuli kabraa hai,unki jeebh chikni-chupdi baatein kehti hai.+
10 magar parmeshvar unhein doshi thehrayega,unki apni hi saazishein unhein barbad kar deingi.+
apne anginat apradhon ki vajah se woh khaded diye jaayen,kyonki unhonne tujhse bagavat ki hai.
11 magar teri panah mein aanevale sabhi aanand manayenge,+woh hamesha khushi se jayjaykar kareinge.
jo unhein chot pahunchne aate hain, unka raasta tu rok dega
aur tere naam se pyar karnevale tere kaaran aanand manayenge.
12 kyonki hey yahova, tu har nek jan ko aasheesh dega,teri manzoori ek badi dhaal ki tarah unki raksha karegi.+