bhajan 54:1-7
-
dushman se ghir jaane par madad ki prarthna
-
“parmeshvar mera madadgar hai” (4)
-
nirdeshak ke liye hidayat: yah geet taaronvale baaje bajakar gaaya jaaye. mashkeel.* daavid ka yah geet us samay ka hai jab zeef ke logon ne shaaool ke paas jaakaar use khabar di thi ki daavid unke ilake mein chhipa hua hai.+
54 hey parmeshvar, apne naam se mujhe bacha le,+apni taakat se meri pairvi kar.+
2 hey parmeshvar, meri prarthna sun,+meri binti par dhyan de.
3 kyonki begane mere khilaf uth khade huye hain,bereham aadmi meri jaan ke peechhe pade hain.+
woh parmeshvar ki koi kadar nahin karte.*+ (sela )
4 dekh! parmeshvar mera madadgar hai,+yahova un logon ke sang hai jo mera saath dete hain.
5 woh mere dushmanon ki burai ko unhin par lauta dega.+hey parmeshvar, unka ant kar de kyonki tu vishvasyogya hai.+
6 main apni ichha se tere liye balidan chadhaunga.+
hey yahova, main tere naam ki taareef karoonga kyonki woh bhala hai.+
7 kyonki tu mujhe har sankat se bachata hai+aur main apne dushmanon ki haar dekhoonga.+