bhajan 98:1-9
-
yahova, uddharkarta aur sachcha nyayi
-
woh jo uddhaar dilata hai, woh jag zahir hua (2, 3)
-
ek sureela geet.
98 yahova ke liye ek naya geet gaao,+kyonki usne aashcharya ke kaam kiye hain.+
uske daayen haath ne, uske pavitra baazoo ne uddhaar dilaya hai.*+
2 yahova ne dikhaya hai ki woh kaise uddhaar karta hai,+usne raashtron ke saamne apni neki saabit ki hai.+
3 usne apna yah vaada yaad rakha haiki woh israel ke gharane se pyar* karega,uska vishvasyogya bana rahega.+
hamara parmeshvar jo uddhaar dilata hai, use* poori dharti ne dekha hai.+
4 saari dharti ke logo, yahova ke liye jeet ke naare lagao.
khushi se bhar jaao, jayjaykar karo, taareef ke geet gaao.*+
5 surmandal bajakar yahova ki taareef mein geet gaao,*surmandal bajakar, sureele geet gaakaar uski taareef karo.
6 turhiyaan aur narsinga foonko,+raja yahova ke saamne jeet ke naare lagao.
7 samundar aur usmein jo bhi hai, khushi se garjein,dharti* aur us par rehnevale khushi se jayjaykar karein.
8 nadiyaan taali bajayen.
pahad milkar khushi se jayjaykar karein,+
9 yahova ke saamne jayjaykar karein,kyonki woh dharti ka nyay karne aa raha hai.*
woh saare jagat* ka nyay neki se karega,+bina tarafdari kiye desh-desh ke logon ka nyay karega.+
kai footnote
^ ya “use jeet dilayi hai.”
^ ya “hamare parmeshvar ki jeet ko.”
^ ya “atal pyar.”
^ ya “sangeet bajao.”
^ ya “sangeet bajao.”
^ ya “upjaoo zameen.”
^ ya “aa gaya hai.”
^ ya “upjaoo zameen.”