nirgaman 11:1-10
11 fir yahova ne moosa se kaha, “main firaun aur misra par ek aur kehar laanevala hoon. uske baad woh tumhein apne desh se zaroor bhej dega,+ yahaan tak ki woh tumhein bhaga dega.+
2 ab tu jaakaar israeliyon se keh ki sabhi aadmi-aurtein apne misri padosiyon se sone-chaandi ki cheezen maangein.”+
3 yahova ne misriyon ko israeliyon par meharban kar diya. yahi nahin, firaun ke adhikari aur misri log moosa ka bahot samman karne lage.
4 fir moosa ne kaha, “yahova ne kaha hai, ‘aaj aadhi raat ko main misra aanevala hoon.+
5 misra desh ka har pehalautha mar jaayega.+ raajgaddi par baithe firaun ke pehalauthe se lekar chakki* peesnevali daasi ke pehalauthe tak, sab mar jaayenge aur sab jaanvaron ke pehalauthe bhi mar jaayenge.+
6 desh-bhar mein aisa rona-bilakhna hoga jaisa na pehale kabhi hua tha, na fir kabhi hoga.+
7 magar israeli aur unke jaanvar sab salamat raheinge, un par ek kutta bhi nahin bhaunkega. tab tum jaan jaaoge ki yahova israeliyon aur misriyon mein kaise fark kar sakta hai.’+
8 jab parmeshvar yah kehar laayega, tab tere sabhi adhikari mere paas aayenge aur mere saamne girkar mujhse binti kareinge, ‘tu aur tere sab log yah desh chhodkar chale jaayen.’+ aur tab main is desh se nikaal jaaunga.” itna kehkar moosa tamtamata hua firaun ke paas se chala gaya.
9 fir yahova ne moosa se kaha, “firaun tumhari baat nahin maanega+ kyonki misra mein mujhe aur bhi chamatkar jo dikhane hain.”+
10 moosa aur haaroon ne firaun ke dekhte ye saare chamatkar kiye,+ magar firaun ka dil kathor bana raha aur yahova ne use kathor hi rehne diya. firaun ne israeliyon ko apne desh se nahin jaane diya.+
kai footnote
^ shaa., “haath ki chakki.”