yuhanna ko diya gaya prakashitvakya 7:1-17
7 iske baad mainne dekha ki prithvi ke chaar konon par chaar swargdoot khade hain aur woh prithvi ki chaaron havaon ko mazbooti se thaame huye hain taaki prithvi ya samundar ya kisi bhi ped par hava na chale.
2 aur mainne ek aur swargdoot ko poorab se oopar aate dekha, jo jeevit parmeshvar ki muhar liye huye tha. aur usne un chaaron swargdooton ko jinhein prithvi aur samundar ko nuksan pahunchne ka adhikar diya gaya tha, badi zordar aavaz mein pukarkar kaha,
3 “jab tak hum apne parmeshvar ke daason ke maathe par muhar na laga dein,+ tab tak prithvi ya samundar ya pedon ko nuksan mat pahunchna.”+
4 aur mainne unki ginti suni jin par muhar lagayi gayi thi. woh 1,44,000 the+ aur unhein israel ke beton ke har gotra mein se liya gaya tha:+
5 yahooda gotra mein se 12,000 par muhar lagayi gayi,rooben gotra mein se 12,000 par,gaad gotra mein se 12,000 par,
6 aasher gotra mein se 12,000 par,naptali gotra mein se 12,000 par,manashshe+ gotra mein se 12,000 par,
7 shimon gotra mein se 12,000 par,levi gotra mein se 12,000 par,issakar gotra mein se 12,000 par,
8 jabooloon gotra mein se 12,000 par,yoosuf gotra mein se 12,000 par,binyameen gotra mein se 12,000 par muhar lagayi gayi.
9 iske baad dekho mainne kya dekha! sab raashtron aur gotron aur jaatiyon aur bhaashaon* mein se nikli ek badi bheed, jise koi aadmi gin nahin sakta,+ raajgaddi ke saamne aur us memne ke saamne safed choge pehne+ aur haathon mein khajoor ki daaliyaan liye khadi hai.+
10 aur yah bheed zordar aavaz mein baar-baar pukarkar kehti hai, “hum apne uddhaar ke liye apne parmeshvar ka jo raajgaddi par baitha hai+ aur memne+ ka ehsan maante hain.”
11 saare swargdoot jo us raajgaddi aur pracheenon+ aur chaar jeevit praniyon ke chaaron taraf khade the, raajgaddi ke saamne munh ke bal girkar parmeshvar ki upasna karne lage
12 aur kehne lage, “aameen! hamare parmeshvar ki sada taareef, dhanyavad aur mahima hoti rahe aur buddhi, aadar, shakti aur taakat sada usi ke hon.+ aameen.”
13 yah dekhkar ek pracheen ne mujhse kaha, “ye jo safed choge pehne huye hain,+ ye kaun hain aur kahaan se aaye hain?”
14 tab mainne fauran usse kaha, “mere prabhu, tu hi jaanta hai ki ye kaun hain.” aur usne mujhse kaha, “ye woh hain jo us maha-sankat se nikaalkar aaye hain+ aur inhonne apne choge memne ke khoon mein dhokar safed kiye hain.+
15 isi vajah se ye parmeshvar ki raajgaddi ke saamne hain aur ye din-raat uske mandir mein uski pavitra seva karte hain. aur raajgaddi par baitha+ parmeshvar in par apna tamboo taanega.+
16 ye fir kabhi bhookhe-pyase na raheinge aur na in par sooraj ki tapti dhoop padegi, na jhulsati garmi,+
17 kyonki woh memna+ jo raajgaddi ke paas* hai, inhein charvahe ki tarah+ jeevan ke paani ke soton tak le jaayega.+ aur parmeshvar inki aankhon se har aansoo ponchh daalega.”+