preshiton ke kaam 10:1-48
10 kaisariya mein kurneliyus naam ka ek aadmi tha. woh us fauji tukdi ka afsar* tha jo italvi tukdi* kehlati thi.
2 woh ek bhakt insan tha. woh aur uska poora gharana parmeshvar ka dar maanta tha. woh logon ko bahot-se daan deta tha aur parmeshvar ke saamne gidgidakar binti kiya karta tha.
3 usne din ke kareeb nauvein ghante*+ mein parmeshvar ke ek swargdoot ko darshan mein saaf dekha, jisne uske paas aakaar kaha, “kurneliyus!”
4 woh dar ke maare doot ko dekhta reh gaya aur usne kaha, “prabhu, kya hua?” doot ne usse kaha, “parmeshvar ne teri prarthnayen suni hain aur jo daan tu deta hai un par dhyan diya hai.+
5 isliye ab tu apne aadmi bhejkar yaafa se shamaun ko bulva le, jo patras bhi kehlata hai.
6 woh chamde ka kaam karnevale shamaun ke yahaan mehman hai, jiska ghar samundar ke kinare hai.”
7 us swargdoot ke jaate hi kurneliyus ne apne ghar ke do sevkon ko aur parmeshvar ka dar maannevale apne ek sainik ko bulaya, jo hamesha uski seva mein haazir rehta tha.
8 usne unhein poori baat batakar yaafa bheja.
9 agle din jab kurneliyus ke sevak safar karte-karte shehar ke paas aa pahunche, tab chhathe ghante* ke kareeb patras prarthna karne ke liye ghar ki chhat par gaya.
10 magar use zoron ki bhookh lagi aur woh kuch khaana chahta tha. jab woh khaana taiyar kar rahe the, to use ek darshan mila.*+
11 aur usne dekha ki aakash khul gaya aur badi chaadar jaisa kuch* neeche aa raha hai. use chaaron konon se pakadkar dharti par utara jaa raha hai.
12 usmein dharti par paaye jaanevale har kism ke jaanvar* aur reinganevale jeev-jantu aur aakash ke pakshi hain.
13 fir patras ko ek aavaz sunayi di, “patras uth, inhein kaatkar khaa!”
14 magar usne kaha, “nahin prabhu, nahin! mainne kabhi koi dooshit aur ashuddh cheez nahin khaayi hai.”+
15 fir doosri baar usi aavaz ne usse kaha, “tu ab se un cheezon ko dooshit mat kehna jinhein parmeshvar ne shuddh kiya hai.”
16 teen baar aisa hua aur fir woh chaadar jaisi cheez* fauran aakash mein utha li gayi.
17 patras badi uljhan mein tha ki is darshan ka kya matlab ho sakta hai. woh is baare mein soch hi raha tha ki tabhi kurneliyus ke aadmi shamaun ka ghar poochhte-poochhte uske darvaze par aa khade huye.+
18 unhonne zor se aavaz lagayi aur poochha ki shamaun jo patras kehlata hai, kya woh yahin thehra hua hai.
19 patras darshan ke baare mein soch raha tha aur pavitra shakti+ ne usse kaha, “dekh! teen aadmi tere baare mein poochh rahe hain.
20 uth, neeche jaa aur unke saath bejhijhak chala jaa, kyonki mainne hi unhein bheja hai.”
21 tab patras seedhiyaan utaarkar un aadmiyon ke paas gaya aur usne kaha, “dekho! tum jise dhoondh rahe ho, woh main hi hoon. yahaan kaise aana hua?”
22 unhonne kaha, “sena-afsar kurneliyus+ ne hamein bheja hai. woh parmeshvar ka dar maannevala nek insan hai. saare yahoodi bhi uski taareef karte hain. ek pavitra swargdoot ne use parmeshvar ki taraf se hidayat di hai ki tujhe bulva le aur jo baatein tu batayega unhein sune.”
23 yah sunkar patras ne unhein andar bulaya aur apna mehman banakar vahaan thehraya.
agle din patras utha aur unke saath nikaal pada aur yaafa ke kuch bhaai bhi uske saath gaye.
24 doosre din woh kaisariya pahuncha. vahaan kurneliyus unka intazaar kar raha tha. usne apne rishtedaron aur kareebi doston ko bhi apne ghar bula rakha tha.
25 jab patras ghar ke andar gaya, to kurneliyus usse mila aur usne patras ke pairon par girkar use pranam* kiya.
26 magar patras ne use uthakar kaha, “khada ho, main bhi tere jaisa ek insan hoon.”+
27 patras usse baatein karta hua andar gaya aur usne dekha ki vahaan bahot log jama hain.
28 usne unse kaha, “tum achhi tarah jaante ho ki ek yahoodi ke liye doosri jaati ke kisi insan se milna-julna ya uske yahaan jaana bhi niyam ke khilaf hai.+ magar fir bhi parmeshvar ne mujhe dikhaya hai ki main kisi bhi insan ko dooshit ya ashuddh na kahoon.+
29 isliye jab mujhe bulaya gaya, to main bina kisi etraz ke chala aaya. ab mujhe batao ki tumne mujhe kis vajah se bulaya hai.”
30 fir kurneliyus ne kaha, “aaj se theek chaar din pehale ki baat hai, jab main nauvein ghante* mein apne ghar mein prarthna kar raha tha, tab mainne dekha ki ek aadmi ujle kapde pehne mere saamne aa khada hua.
31 usne mujhse kaha, ‘kurneliyus, parmeshvar ne teri prarthna sun li hai aur jo daan tu deta hai un par usne dhyan diya hai.
32 isliye ab apne aadmiyon ko yaafa bhej aur us shamaun ko, jo patras kehlata hai, bulva le. woh chamde ka kaam karnevale shamaun ke yahaan mehman hai, jiska ghar samundar kinare hai.’+
33 isliye mainne fauran tujhe bulva bheja aur toone yahaan aakaar hum par meharbani ki hai. ab is vakt, hum sab parmeshvar ke saamne haazir hain taaki woh saari baatein sunein, jinhein sunane ki aagya yahova* ne tujhe di hai.”
34 tab patras ne bolna shuroo kiya, “ab main achhi tarah samajh gaya hoon ki parmeshvar bhedbhav nahin karta,+
35 magar har woh insan jo uska dar maanta hai aur sahi kaam karta hai, fir chahe woh kisi bhi raashtra ka kyon na ho, use woh sweekar karta hai.+
36 parmeshvar ne israeliyon ke paas ek sandesh bheja, unhein yah khushkhabri di ki yeeshu maseeh ke zariye parmeshvar ke saath shaanti kaayam ki jaa sakti hai.+ yahi yeeshu sabka prabhu hai.+
37 tum jaante ho ki jab yuhanna ne baptisme ka prachar kiya to uske baad galeel mein kis baat ki charcha hone lagi aur poore yahoodiya mein fail gayi,+
38 yaani naasrat ke yeeshu ki charcha. tumne suna hai ki parmeshvar ne kis tarah pavitra shakti se uska abhishek kiya+ aur use taakat di aur woh poore desh mein bhalai karta raha aur shaitan* ke sataye huon ko theek karta raha,+ kyonki parmeshvar uske saath tha.+
39 aur hum un sabhi kaamon ke gavah hain jo usne yahoodiyon ke desh mein aur yarooshalem mein kiye the. magar unhonne use kaath* par latkakar maar daala.
40 parmeshvar ne isi yeeshu ko teesre din zinda kiya+ aur use logon par prakat hone diya.*
41 magar sabhi logon par nahin balki un gavahon par jinhein parmeshvar ne pehale se chuna tha, yaani hum par. jab woh mare huon mein se zinda ho gaya to uske baad hamne uske saath khaaya-peeya.+
42 usne hamein yah aagya bhi di ki hum logon ko prachar karein aur is baat ki achhi tarah gavahi dein+ ki yah vahi hai jise parmeshvar ne jeeviton aur mare huon ka nyayi thehraya hai.+
43 saare bhavishyavaktaon ne isi yeeshu ki gavahi di+ ki jo koi us par vishvas karega woh uske naam se paapon ki maafi paayega.”+
44 patras ye baatein bol hi raha tha ki tabhi pavitra shakti un sabhi logon par utri jo vachan sun rahe the.+
45 patras ke saath aaye sabhi vishvasi bhaai, jinka khatna ho chuka tha,* woh dang reh gaye kyonki pavitra shakti ka muft vardan, gair-yahoodiyon ko bhi diya jaa raha tha.
46 unhonne un logon ko alag-alag bhaashayen* bolte aur parmeshvar ki badai karte suna.+ tab patras ne kaha,
47 “in logon ne bhi hamari tarah pavitra shakti paayi hai, ab kaun inhein paani mein baptisma lene se rok sakta hai?”+
48 fir patras ne yah aagya di ki unhein yeeshu maseeh ke naam se baptisma diya jaaye.+ iske baad unhonne patras se binti ki ki woh kuch din vahin thahar jaaye.
kai footnote
^ ya “shatpati,” jiski kaman mein 100 sainik hote the.
^ ya “toli,” 600 sainikon se bani romi tukdi.
^ yaani dopahar kareeb 3 baje.
^ yaani dopahar kareeb 12 baje.
^ ya “us par besudhi chha gayi.”
^ shaa., “ek tarah ka bartan.”
^ shaa., “chaar-paironvale prani.”
^ shaa., “bartan.”
^ ya “dandvat.”
^ yaani dopahar kareeb 3 baje.
^ ya “ped.”
^ ya “ko dikhne diya.”
^ ya “vafadar jan.”
^ shaa., “doosri zaban.”