preshiton ke kaam 28:1-31
28 jab hum sahi-salamat kinare pahunch gaye, to hamein maaloom hua ki us dveep ka naam maalta hai.+
2 us dveep ke logon* ne hum par anokhi kripa* ki aur hamari bahot madad ki. unhonne hamare liye aag jalayi kyonki baarish ho rahi thi aur bahot thand thi.
3 jab paulus ne lakdiyon ka ek gatthar batorkar aag par rakha, to garmi ki vajah se gatthar ke andar se ek zahreela saanp nikala aur paulus ke haath se lipat gaya.
4 jab dveep ke logon* ne dekha ki ek zahreela saanp uske haath se latak raha hai, to woh ek-doosre se kehne lage, “yah aadmi zaroor koi khooni hai. yah samundar se to bach gaya magar insaf* ne iski jaan nahin bakhshi.”
5 paulus ne haath jhatakkar saanp ko aag mein jhonk diya magar paulus ko kuch nahin hua.
6 fir bhi log ummeed kar rahe the ki paulus ka shareer sooj jaayega ya woh achanak girkar mar jaayega. unhonne kaafi der tak intazaar kiya aur jab unhonne dekha ki uske saath kuch bura nahin hua hai, to unhonne apni raay badal di aur kehne lage ki yah zaroor koi devta hai.
7 vahin paas mein dveep ke pradhan publiyus ki zameenein thi. usne bade pyar se hamara swagat kiya aur teen din tak hamari khaatirdari ki.
8 publiyus ka pita bistar par beemar pada tha. use bukhar tha aur pechish ho gayi thi. paulus uske paas gaya aur usne prarthna ki, us par apne haath rakhe aur use theek kiya.+
9 jab aisa hua, to dveep ke baaki beemar log bhi paulus ke paas aane lage aur theek huye.+
10 fir unhonne hamein kai tohfe dekar hamara samman kiya aur jab hum jahaz par chadhkar jaane lage, to unhonne hamein zaroorat ka dher saara saaman diya.
11 teen maheene baad hum sikandriya ke ek jahaz se ravana huye, jo poori sardi usi dveep par ruka hua tha. us jahaz ke saamne ki taraf “zeus ke beton” ki nishani bani hui thi.
12 fir hum surkoosa ke bandargah mein langar daalkar teen din vahin rahe.
13 vahaan se hum ravana huye aur regiyum pahunche. ek din baad dakshini hava chali aur hum agle hi din putiyuli pahunch gaye.
14 yahaan hamein maseehi bhaai mile aur unhonne hamse binti kee ki hum unke yahaan saat din thehrein. iske baad hum rom ki taraf nikaal pade.
15 jab bhaaiyon ne hamare aane ki khabar suni, to woh hamse milne apiyus ke baazar tak aur teen saray tak aaye. bhaaiyon ko dekhte hi paulus ne parmeshvar ko dhanyavad diya aur himmat paayi.+
16 aakhirkar jab hum rom pahunche, to paulus ko akele rehne ki ijazat mili aur us par pehra dene ke liye ek sainik thehraya gaya.
17 teen din baad usne yahoodiyon ke khaas aadmiyon ko apne yahaan bulaya. jab woh ikattha huye, to woh unse kehne laga, “bhaaiyo, mainne apne logon ya apne purkhon ke reeti-rivazon ke khilaf kuch nahin kiya.+ fir bhi mujhe yarooshalem mein kaidi banakar romiyon ke haath saunp diya gaya.+
18 unhonne maamle ki jaanch karne ke baad+ mujhe chhod dena chaha kyonki mujhe maut ki saza dene ke liye unhein mere khilaf koi saboot nahin mila.+
19 magar jab yahoodiyon ne etraz jataya, to mujhe majbooran samraat se fariyad karni padi,+ lekin mera irada yah nahin tha ki apni jaati par koi dosh lagaun.
20 iseeliye mainne tumhein bulane aur tumse baat karne ki binti ki thi, kyonki israel ko jiski aasha thi uski vajah se main in zanjeeron mein jakda hua hoon.”+
21 unhonne paulus se kaha, “hamein tere baare mein na to yahoodiya se chitthiyaan mili hain, na hi vahaan se aaye kisi yahoodi bhaai ne tere baare mein khabar di ya kuch bura kaha.
22 magar hamein lagta hai ki jo bhi tere vichar hain woh tujhi se sunnaa sahi hoga, kyonki jahaan tak hamein is gut ke baare mein maaloom hua hai,+ sab jagah log iske khilaf hi baat karte hain.”+
23 unhonne uske saath ek din tay kiya aur uske thaharne ki jagah par bhaari taadad mein ikattha huye. paulus ne subah se shaam tak unhein parmeshvar ke raaj ke baare mein achhi tarah gavahi di aur samjhata raha. woh moosa ke kaanoon+ aur bhavishyavaktaon ki kitabon se yeeshu ke baare mein daleelein dekar unhein kaayal karta raha.+
24 unmein se kuch logon ne uski baaton par yakeen kiya magar doosron ne nahin.
25 unke beech matbhed ho gaya isliye woh vahaan se jaane lage. tab paulus ne unse ek aur baat kahi,
“pavitra shakti ne bhavishyavakta yashayah ke zariye tumhare purkhon se bilkul sahi kaha tha,
26 ‘jaakaar in logon se kah, “tum log sunoge magar sunte huye bhi bilkul nahin samjhoge. aur dekhoge magar dekhte huye bhi bilkul nahin dekh paaoge.+
27 kyonki in logon ka man sunna ho chuka hai. woh apne kaanon se sunte to hain, magar kuch karte nahin. unhonne apni aankhein moond li hain taaki na woh kabhi apni aankhon se dekhein, na apne kaanon se sunein aur na kabhi unka man ise samjhe aur na woh palatkar laut aayen aur main unhein changa karoon.”’+
28 isliye tum jaan lo ki parmeshvar ki taraf se milnevale is uddhaar ka sandesh, gair-yahoodiyon ke paas bheja gaya hai+ aur woh ise zaroor suneinge.”+
29 * —
30 paulus poore do saal tak kiraye ke makan mein raha+ aur jitne bhi log uske yahaan aate unka woh pyar se swagat karta raha.
31 woh unko parmeshvar ke raaj ka prachar karta aur prabhu yeeshu maseeh ke baare mein bejhijhak* aur bina kisi rukavat ke sikhata raha.+
kai footnote
^ ya “doosri bhasha bolnevalon.”
^ ya “insaniyat ke naate kripa.”
^ ya “doosri bhasha bolnevale.”
^ yoonani mein daayki. shaayad yah shabd us devi ke liye istemaal hua hai jise badla chukakar insaf denevali maana jaata tha. ya shaayad yahaan nyay ke gun ki baat ki gayi hai.
^ ya “nidar hokar.”