yuhanna ke mutabik khushkhabri 13:1-38
13 fasah ke tyohar se pehale yeeshu jaanta tha ki woh ghadi aa gayi hai+ jab woh is duniya ko chhodkar pita ke paas chala jaayega.+ isliye duniya mein jo uske apne the aur jinse woh pyar karta tha, unse aakhir tak pyar karta raha.+
2 shaam ka khaana chal raha tha aur shaitan, shamaun ke bete yahooda iskariyoti ke dil mein yah baat daal chuka tha+ ki woh yeeshu ko pakadvaye.+
3 yeeshu yah jaante huye ki pita ne sabkuch uske* haath mein saunp diya hai aur woh parmeshvar ki taraf se aaya hai aur parmeshvar ke paas jaa raha hai,+
4 khaane ki mez se utha. usne apna choga utaarkar alag rakh diya aur tauliya lekar kamar mein baandha.*+
5 iske baad usne ek bartan mein paani bhara aur apne chelon ke pair dhone laga aur kamar par bandhe* tauliye se ponchhne laga.
6 jab woh shamaun patras ke paas aaya, to patras ne usse kaha, “prabhu, kya tu mere pair dhoyega?”
7 yeeshu ne usse kaha, “main jo kar raha hoon use tu abhi nahin samajh raha, magar baad mein samjhega.”
8 patras ne usse kaha, “nahin, tu mere pair nahin dhoyega.” yeeshu ne usse kaha, “agar main tujhe na dhoun,+ to mere saath teri koi saajhedari nahin.”
9 shamaun patras ne usse kaha, “to prabhu, mere pair hi nahin, balki mere haath aur mera sir bhi dho de.”
10 yeeshu ne usse kaha, “jo naha chuka hai use pair ke siva aur kuch dhone ki zaroorat nahin, woh poori tarah shuddh hai. tum log shuddh ho, par tummein se sab nahin.”
11 woh jaanta tha ki woh kaun hai jo uske saath vishvasghat karnevala hai.+ iseeliye usne kaha, “tummein se sab shuddh nahin hain.”
12 jab woh unke pair dho chuka aur apna choga pehankar ek baar fir mez se tek lagakar baith gaya, to usne unse kaha, “kya tum samjhe ki mainne tumhare saath kya kiya hai?
13 tum mujhe ‘guru’ aur ‘prabhu’ bulate ho aur tum theek kehte ho kyonki main vahi hoon.+
14 isliye jab mainne prabhu aur guru hote huye bhi tumhare pair dhoye,+ to tumhein bhi ek-doosre ke pair dhone chahiye.*+
15 isliye ki mainne tumhare liye namoona chhoda hai ki jaisa mainne tumhare saath kiya, tumhein bhi vaisa hi karna chahiye.+
16 main tumse sach-sach kehta hoon, daas apne maalik se bada nahin hota, na hi bheja hua apne bhejnevale se bada hota hai.
17 tumne ye baatein jaan li hain, lekin agar tum aisa karo to sukhi hoge.+
18 main tum sabke baare mein baat nahin kar raha. jinhein mainne chuna hai unhein main jaanta hoon, magar shastra ki is baat ka poora hona zaroori hai,+ ‘jo meri roti khaaya karta tha vahi mere khilaf ho gaya hai.’*+
19 jo honevala hai woh main tumhein abhi se bata raha hoon taaki jab mere saath vaisa ho, to tum yakeen karo ki shastra mein yah baat mere baare mein kahi gayi thi.+
20 main tumse sach-sach kehta hoon, jise main bhejta hoon use agar ek insan sweekar karta hai to woh mujhe bhi sweekar karta hai.+ aur jo mujhe sweekar karta hai, woh use bhi sweekar karta hai jisne mujhe bheja hai.”+
21 ye baatein kehne ke baad yeeshu man-hi-man pareshan ho utha aur usne khulkar kah diya, “main tumse sach-sach kehta hoon, tummein se ek mere saath vishvasghat karke mujhe pakadva dega.”+
22 yah sunkar chele ek-doosre ka munh taakne lage kyonki woh nahin samajh paa rahe the ki woh kiske baare mein baat kar raha hai.+
23 yeeshu ka ek chela, jisse woh bahot pyar karta tha,+ uske seene ke paas tek lagaye baitha tha.
24 isliye shamaun patras ne sir hilate huye us chele se kaha, “hamein bata, woh kiske baare mein kah raha hai?”
25 tab us chele ne peechhe ki taraf yeeshu ke seene par jhukkar poochha, “prabhu, woh kaun hai?”+
26 yeeshu ne javab diya, “jise main roti ka tukda dubokar doonga, vahi hai.”+ fir usne roti ka tukda duboya aur shamaun iskariyoti ke bete yahooda ko diya.
27 yahooda ne tukda liya aur iske baad shaitan usmein sama gaya.+ isliye yeeshu ne usse kaha, “jo tu kar raha hai, use fauran kar.”
28 magar jo khaane ki mez par baithe the unmein se koi nahin jaanta tha ki yeeshu ne yahooda se aisa kyon kaha.
29 yahooda ke paas paison ka baksa rehta tha,+ isliye kuch chelon ne socha ki yeeshu usse kah raha hai, “tyohar ke liye hamein jin cheezon ki zaroorat hai woh khareed le,” ya use gareebon ko kuch dena chahiye.
30 isliye roti ka tukda lene ke baad yahooda fauran vahaan se chala gaya. yah raat ka vakt tha.+
31 uske nikaal jaane ke baad yeeshu ne kaha, “ab insan ke bete ki mahima hui hai+ aur uske zariye parmeshvar ki mahima hui hai.
32 parmeshvar khud uski mahima karega+ aur bahot jald aisa karega.
33 pyare bachcho, main bas thodi der aur tumhare saath hoon. tum mujhe dhoondhoge. aur jo baat mainne yahoodiyon se kahi thi, woh ab tumse bhi kah raha hoon, ‘jahaan main jaa raha hoon vahaan tum nahin aa sakte.’+
34 main tumhein ek nayi aagya deta hoon ki tum ek-doosre se pyar karo. theek jaise mainne tumse pyar kiya hai,+ vaise hi tum bhi ek-doosre se pyar karo.+
35 agar tumhare beech pyar hoga, to isi se sab jaaneinge ki tum mere chele ho.”+
36 shamaun patras ne usse kaha, “prabhu, tu kahaan jaa raha hai?” yeeshu ne javab diya, “jahaan main jaa raha hoon vahaan tu abhi mere peechhe nahin aa sakta, magar baad mein tu aayega.”
37 patras ne usse kaha, “prabhu, main abhi tere peechhe kyon nahin aa sakta? main teri khaatir apni jaan bhi de doonga.”+
38 yeeshu ne javab diya, “kya tu meri khaatir apni jaan dega? main tujhse sach-sach kehta hoon, jab tak tu mujhe jaanne se teen baar inkar na karega, murga baang na dega.”+
kai footnote
^ yaani yeeshu ke.
^ ya “kamar kasi.”
^ ya “kase.”
^ ya “yah tumhara farz hai.”
^ shaa., “mere khilaf edi uthaye hai.”