paath 01
khush kaise rahein—aaj aur hamesha ke liye?
hum sab zindagi mein khush rehna chahte hain. par aksar kuch baatein hamein pareshan karti hain. hum sochte hain ki zindagi mein itna dukh kyon hai, aage chalkar duniya ka kya hoga. iske alava, har din hamein rozee-roti aur ghar ki sukh-shaanti ki chinta lagi rehti hai. hamein samajh mein nahin aata ki hum in chintaon ka saamna kaise karein. aapko yah jaankar khushi hogi ki parmeshvar ne hamare liye ek kitab likhvayi hai jismein hamare sabhi savalon ke javab hain. woh kitab hai bible. isse hum yah bhi jaan sakte hain ki chintayen hone par bhi khush kaise rahein. ise padhne se aapko zaroor apne savalon ke javab mileinge.
1. bible mein kin savalon ke javab milte hain?
bible mein bataya gaya hai ki parmeshvar ne insan ko kyon banaya. achhe logon ke saath bura kyon hota hai? marne ke baad kya hota hai? duniya mein shaanti kyon nahin hai? kya ek din yah duniya khatm ho jaayegi? ye sabhi zaroori saval hain. bahot-se logon ko bible se inke javab paakaar tasalli hui hai. parmeshvar chahta hai ki aap bhi inke javab paayen.
2. bible se har din ki chintaon ka saamna karne ke liye kya madad milti hai?
bible mein aisi badhiya salah di gayi hai jo har din hamare kaam aati hai. jaise, ghar mein jhagde na hon iske liye kya karein? naukri ko lekar koi pareshani ho, to kya karein? jab hum saath milkar in vishyon par charcha kareinge, to aap paayenge ki bible mein jo bhi likha hai, woh ‘hamare liye faaydemand hai.’—2 timuthiyus 3:16.
jo kitab aap padh rahe hain, woh bible nahin hai. magar ismein bible ke vachan diye hain. hum chahte hain ki aap ye vachan bible mein kholkar padhein. tab aap dekh paayenge ki aap is kitab se jo bhi seekh rahe hain woh bible se hai.
aur jaaniye
bible padhne se kai logon ne kis tarah jeevan mein khushi paayi hai? aap kya kar sakte hain taaki aapko bible padhna achha lage? bible ko samajhne ke liye kisi ki madad lena kyon zaroori hai? aaiye jaanein.
3. bible se hum sahi raasta jaan sakte hain
andhere mein hum raushni se raasta dekh paate hain, paas ka bhi aur door ka bhi. bible bhi raushni ki tarah hai. ise padhne se hum jaan paayenge ki aaj hum sahi faisle kaise kar sakte hain. hum yah bhi jaan paayenge ki aage kya honevala hai.
bhajan 119:105 padhiye. fir aage diye savalon par charcha keejiye:
-
yahaan bible ke baare mein kya bataya gaya hai?
-
kya yah aapko bhi raasta dikha sakti hai, aapko kya lagta hai?
4. bible se aapko apne savalon ke javab mil sakte hain
doris naam ki ek aurat kuch savalon ko lekar bahot pareshan rehti thi. lekin bible padhne se use apne savalon ke javab mile. video dekhiye. fir aage diye savalon par charcha keejiye:
-
doris kin savalon ko lekar pareshan thi?
-
bible padhne se usne kya jaana?
saval poochhna achhi baat hai. matti 7:7 padhiye. fir aage diye saval par charcha keejiye:
-
agar aapko ishvar se koi saval karne ka mauka mile, to aap kya poochheinge?
5. bible ek baar padhkar to dekhiye, aapko zaroor achha lagega
bahot-se logon ko bible padhna achha lagta hai. isse unhonne kai baatein seekhi hain. video dekhiye. fir aage diye savalon par charcha keejiye:
-
un naujavanon ko kitabein padhna kaisa lagta hai?
-
lekin unhein bible padhna kyon achha lagne laga?
bible padhne se hum kaafi achhi baatein seekheinge. dukh ke samay hamein dilasa aur sukoon milega aur ek achhe kal ki aasha milegi. romiyon 15:4 padhiye. fir aage diye saval par charcha keejiye:
-
kya aap jaanna chaheinge ki hum dilasa aur aasha kaise paa sakte hain?
6. kisi ki madad lene se aap bible ko achhe-se samajh paayenge
kai log khud bible padhte hain. lekin unhonne paaya hai ki jab woh kisi ki madad lete hain, to ise achhe-se samajh paate hain. preshiton 8:26-31 padhiye. fir aage diye saval par charcha keejiye:
-
bible ko achhi tarah samajhne ke liye aap kya kar sakte hain?—vachan 30 aur 31 dekhiye.
kuch log kehte hain: “bible padhne ka koi faayda nahin hai.”
-
is baare mein aap kya sochte hain? aap aisa kyon sochte hain?
ab tak hamne seekha
bible mein aisi badhiya salah di gayi hai jo har din hamare kaam aati hai. ismein kai zaroori savalon ke javab bhi diye hain. isse hum aasha aur dilasa bhi paa sakte hain.
aap kya kaheinge?
-
bible se har din ki chintaon ka saamna karne ke liye kya madad milti hai?
-
bible mein kin savalon ke javab milte hain?
-
aap bible se kya jaanna chaheinge?
ye bhi dekhein
jaaniye ki bible mein di salah kaise aapke kaam aa sakti hai.
ek aadmi bachpan se bahot udas rehta tha aur khud ko bekar samajhta tha. jaaniye ki bible padhne se woh kaise khush rehne laga.
jaaniye ki bible mein pati-patni aur bachchon ke liye kya salah di gayi hai.
“12 sujhav aazmayen, apne parivar ko sukhi banayen” (sajag hoiye! ank 2 2018)
kai log sochte hain ki bhagvan duniya ko chala raha hai. lekin kya yah sach hai? jaaniye ki bible mein kya likha hai.