is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

main ek achha aadarsh kaise chun sakta hoon?

main ek achha aadarsh kaise chun sakta hoon?

“school mein jab bhi mujhe koi pareshani hoti hai, main us insan ko yaad karti hoon jise main bahot maanti hoon aur jo meri jaisi pareshaniyon se guzra hai. fir main uski tarah pareshani ka saamna karne ki koshish karti hoon. sach, ek achha aadarsh hone se mushkil haalaat ka saamna karna aasan ho jaata hai.“​—haly.

ji haan, ek aadarsh vyakti aapko samasyaon se bachne aur apne lakshyon tak pahunchne mein madad de sakta hai. lekin zaroori hai ki aap sahi vyakti ko apna aadarsh chunein.

 soch-samajhkar kyon chunein?

  • ek aadarsh ka aapke vyavhar par asar hota hai.

    bible maseehiyon ko badhava deti hai ki woh un logon par dhyan dein jo achhi misal hain. yah kehti hai, “unke chaalchalan ke achhe nateejon par gaur karte huye unke vishvas ki misal par chalo.”​—ibraniyon 13:7.

    ise aazmaiye: ek aadarsh ka aap par ya to achha asar ho sakta hai ya bura. isliye bas yah dekhkar kisi ko aadarsh mat chuniye ki woh bahot mashhoor hai ya aapki umra ka hai. iske bajay aisa vyakti chuniye jismein achhe gun hon.

    “mainne ek maseehi bhaai adam ke ravaiye aur vyavahar se bahot kuch seekha hai. hairani ki baat hai ki aaj bhi mujhe unki kahi kuch baatein aur unke kuch kaam yaad hain. unhein bilkul andaza nahin hai ki unhonne mujh par gehri chhaap chhodi hai.“​—colin.

  • ek aadarsh ka aapki soch aur bhaavnaon par asar hota hai.

    bible batati hai, “dhokha na khaao. buri sangati achhi aadtein bigaad deti hai.”​—1 kurinthiyon 15:33.

    ise aazmaiye: sirf khoobsoorti dekhkar nahin balki achhe gun dekhkar kisi ko apna aadarsh chuniye, varna aapko nirash haath lag sakti hai.

    “agar hum hardam khud ki tulna jaane-maane, sundar logon se karte rahein to hum hamesha chhota aur badsoorat mehsoos kareinge. fir hum par apni sundarta nikharne ka junoon savaar ho jaayega..“​—tamara.

    zara sochiye: film jagat ya khel-kood ki duniya ke kisi sitare ko apna aadarsh chunne ke kya khatre hain?

  • aapka aadarsh kaun hai, isse tay hoga ki aap apne lakshyon tak pahuncheinge ya nahin.

    bible batati hai, “buddhimanon ke saath rehnevala buddhiman banega.”​—neetivachan 13:20.

    ise aazmaiye: ek aise vyakti ko apna aadarsh chuniye jinke gun aap apne andar badhana chahte hain. agar aap un par dhyan deinge to aap kuch aise tareeke seekheinge jinse aap apne lakshya tak pahunch paayenge.

    “aisa hi koi lakshya mat rakh leejiye ki ‘main aur bhi zimmedar insan banna chahta hoon.’ iske bajay, saaf lakshya rakhiye. jaise, ‘main jane ki tarah zimmedar banna chahti hoon. woh vakt ki badi paaband hai aur use jo bhi kaam diya jaata hai use poori gambheerta ke saath karti hai.’”​—miriam.

    sau baat ki ek baat: jab aap ek sahi vyakti ko apna aadarsh chuneinge to aap tay kar rahe honge ki aap kaise insan baneinge.

ek achhe vyakti ki misal par chalkar aap jald apni manzil paa sakte hain!

 kaise chunein?

aap neeche bataye kisi bhi ek tareeke se aadarsh chun sakte hain.

  1. ek aisa gun chuniye jo aap apne andar badhana chahte hain. fir aisa vyakti chuniye jise aap bahot maante hain aur jismein woh gun hai.

  2. aisa vyakti chuniye jise aap bahot maante hain. fir usmein jo gun hain unmein se ek chuniye jo aap apne andar badhana chahte hain.

is lekh ke saath diye abhyas se aapko madad mil sakti hai.

aap in logon mein se apna aadarsh chun sakte hain:

  • hamaumra saathi: “main apni sabse achhi dost ki tarah banna chahti hoon. doosron ki madad karne ke liye uske paas hamesha vakt hota hai. woh mujhse chhoti hai, par usmein aise badhiya gun hain jo mujhmein nahin hain. isliye main uski misal par chalna chahti hoon.“​—miriam.

  • bade-buzurg: inmein aapke mammi-paapa aur sangi maseehi ho sakte hain. “ismein koi shak nahin ki mere mammi-paapa mere liye aadarsh hain. unmein bahot badhiya gun hain. unmein kamiyaan hain, fir bhi woh vafadari se parmeshvar ki seva karte hain. mujhe ummeed hai ki jab main unki umra ki ho jaaungi to mere baare mein bhi yahi kaha jaayega.“​—annette.

  • bible ke kirdar: “mainne bible ke kai kirdaron ko apna aadarsh chuna hai, jaise timuthiyus, root, ayyoob, patras aur chhoti israeli ladki. harek ko chunne ki ek khaas vajah rahi hai. in kirdaron ke baare mein main jitna zyada seekhti hoon utna zyada woh mere liye asal ho jaate hain. unke vishvas ki misal par chaliye kitab mein the unki kahani padhkar mujhe bada maza aata hai. iske alava, naujavanon ke saval (angrezee) kitab ke donon khandon mein the ‘aadarshon ki soochi‘ mein diye udahran padhkar bhi mujhe bahot achha lagta hai.“​—melinda.

ise aazmaiye: sirf ek hi vyakti ko apna aadarsh mat chuniye. yeeshu maseeh ke ek shishya paulus ne doosre maseehiyon se kaha, “tum . . . un par gaur karte raho jo us misal ke mutabik chalte hain jo hamne tumhare liye rakhi hai.”​—filippiyon 3:17.

kya aap jaante hain? aap bhi kisi ke aadarsh ban sakte hain! bible batati hai, “bolne mein, chaalchalan mein, pyar mein, vishvas mein aur shuddh charitra banaye rakhne mein vishvasyogya logon ke liye ek misal ban jaa.”​—1 timuthiyus 4:12.

“aap shaayad khud mein achhe gun badhane ki koshish kar rahe honge, magar is dauran bhi aap doosron ki madad kar sakte hain. bhale hi aapko ehsas na ho, par doosre aapko dekh rahe hain aur aap jo kehte hain usse unki zindagi badal sakti hai.“​—kiana.