naujavanon ke saval
baptisme ke baad mujhe kya karna hai? bhaag 1—upasna se jude kaam karte rahiye
ghar aur gaadi jaisi zaroori cheezon ka hamein lagatar dhyan rakhna padta hai taaki woh achhi haalaat mein rahein. usi tarah, baptisme ke baad aapko dhyan rakhna hai ki yahova ke saath aapki dosti bani rahe. iske liye aap kya kar sakte hain?
bible ka adhyan karte rahiye
mukhya aayat: “tum har bhala kaam karte huye fal paida karte jaao aur parmeshvar ke baare mein sahi gyan badhate jaao.”—kulussiyon 1:10.
iska kya matlab hai? baptisme ke baad aapko bible padhte rehna hai aur usmein likhi baaton par manan karna hai.—bhajan 25:4; 119:97.
kya ho sakta hai? kai baar shaayad aapko bible padhne ka mann naa karein. isse shaayad aap sochein, ‘padhna-vadhna mere bas ki baat nahin hai.’
tab aap kya kar sakte hain? bible ka koi aisa vishay chuniye jo aapko pasand aaye aur us baare mein khojbeen keejiye. aisa schedule banaiye jise maanna aapke liye aasaan ho. pehle se tay keejiye ki aap adhyan kab aur kaise karenge. dhyan rakhiye ki aap adhyan isliye kar rahe hain taaki yahova aur bible ke liye aapka pyar aur badhe. is tarah adhyan karne se aapko faayda bhi hoga aur maza bhi aayega.—bhajan 16:11.
ise aazmaiye: ek aisi jagah baithkar adhyan keejiye jahaan par zyada shor naa ho aur aapka dhyan naa bhatke. is tarah aap achhe-se adhyan kar paayenge aur zyada seekh paayenge.
kya aapko aur bhi madad chahiye?
padhiye
“bible meri madad kaise kar sakti hai?—bhaag 2: bible padhna mazedar banaye”
dekhiye
naujavan kya kehte hain—bible padhne ke baare mein
download keejiye
“bible padhne ka schedule”
yahova se prarthna karte rahiye
mukhya aayat: “kisi bhi baat ko lekar chinta mat karo, magar har baat ke baare mein prarthna aur minnaton aur dhanyavad ke saath parmeshvar se bintiyaan karo.”—filippiyon 4:6.
iska kya matlab hai? hamein parmeshvar se baat karni chahiye aur uski sunnai bhi chahiye. jab aap prarthna karte hain to aap parmeshvar se apni baat keh rahe hote hain. aur jab aap bible padhte hain to aap uski sun rahe hote hain. aap prarthna mein yahova se madad maang sakte hain aur jo aasheeshein woh aapko deta hai unke liye aap use dhanyavad bhi de sakte hain.
kya ho sakta hai? kai baar ho sakta hai ki aapki prarthna dil se naa ho balki aap vahi baatein baar-baar dohra rahe hon. ya shaayad aap mann mein sochein, ‘kya yahova vaakai hamari prarthna sunta hai?’ ya ‘woh doosron ki sunta hoga, par kya woh meri prarthna sunnaa chahega?’—bhajan 10:1.
tab aap kya kar sakte hain? din-bhar sochiye ki aap kin baaton ke baare mein prarthna kar sakte hain. agar aapke haalaat aise hain ki aap usi vakt lambi prarthna nahin kar sakte, to yaad se baad mein zaroor prarthna keejiyega. sirf apne baare mein hi nahin, doosron ke liye bhi prarthna keejiye.—filippiyon 2:4.
ise aazmaiye: agar aapko lagta hai ki aap dil se prarthna nahin kar paa rahe hain aur vahi baatein baar-baar dohra rahe hain, to is baare mein yahova ko bataiye. woh un sabhi baaton ke baare mein sunnaa chahta hai jo aapko pareshan kar rahi hain, prarthna se judi baatein bhi.—1 yuhanna 5:14.
kya aapko aur bhi madad chahiye?
padhiye
download keejiye
aap jo maante hain us baare mein doosron ko batate rahiye
mukhya aayat: “khud par aur apni shiksha par lagatar dhyan deta reh. . . . aisa karne se tu apna aur teri baat sunnaevalon ka bhi uddhaar karega.”—1 timuthiyus 4:16.
iska kya matlab hai? aap jo maante hain us baare mein jab aap doosron ko batayenge, to aapka vishvas mazboot hoga. yahi nahin, aap unki aur apni jaan bhi bacha paayenge.
kya ho sakta hai? kai baar shaayad aapko apne vishvas ke baare mein batane ka mann naa karein. ya aisa karne se aapko dar lage, khaaskar school mein.
tab aap kya kar sakte hain? mann mein thaan leejiye ki aap dar jaisi galat bhaavnaon se ladenge aur gavahi dena nahin chhodenge. aap preshit paulus se seekh sakte hain. usne kaha, “agar main [khushkhabri sunane ka] yah kaam na chahte huye karta hoon, to bhi main prabandhak ka kaam hi kar raha hoon jo mujhe prabhu ne saumpa hai.” (1 kurinthiyon 9:16, 17) kabhi-kabhi paulus ko shaayad gavahi dena mushkil laga hoga, fir bhi usne yah kaam kiya kyonki use apni zimmedari ka ehsas tha.
ise aazmaiye: apne mummy-papa se poochhkar kisi aise vyakti ko apna mentor chuniye jo prachar karne mein achha ho. woh aapki madad kar sakta hai, aapko salah de sakta hai.—neetivachan 27:17.
kya aapko aur bhi madad chahiye?
padhiye
“main doosron ko apne vishvas ke baare mein batane se kyon darta hoon?”
sabhaon mein jaate rahiye
mukhya aayat: “aao hum ek-doosre mein gehri dilchaspi lein taaki ek-doosre ko pyar aur bhale kaam karne ka badhava de sakein aur ek-doosre ke saath ikattha hona na chhodein.”—ibraniyon 10:24, 25.
iska kya matlab hai? sabhaon mein jaane ki sabse badi vajah hai, yahova ki upasna karna. par sabhaon mein jaane ke do faayde bhi hain. pehala, bhai-behenon se milkar aapka hausla badhta hai. doosra, jab aap sabhaon mein jaate hain aur hissa lete hain, to isse aap doosron ka bhi hausla badhate hain.—romiyon 1:11, 12.
kya ho sakta hai? kabhi-kabhi sabhaon ke dauran aapka dhyan bhatak sakta hai aur aap doosri baaton ke baare mein sochne lag sakte hain. isse aap sabhaon mein batayi jaa rahi achhi baatein seekhne se chook jaayenge. ya shaayad aap sochne lagein, ‘ek-do baar sabha mein nahin jaaunga to chalega.’ aur fir shaayad school ke homework aur doosre kaamon ki vajah se aap kai baar sabhaon mein naa jaayen.
tab aap kya kar sakte hain? school ki padhai zaroori hai, lekin sabhayen bhi zaroori hain. isliye thaan leejiye ki aap ek bhi sabha nahin chhodenge aur unmein poora dhyan lagakar seekhenge. sabhaon mein hissa bhi leejiye, haath khada karke javab deejiye. sabha ke baad kam-se-kam ek vyakti ki taareef keejiye, jiska bhaag ya javab aapko achha laga.
ise aazmaiye: sabhaon ki pehle se achhi taiyari keejiye. iske liye JW library app download keejiye aur “sabhayen” (“Meetings”) bhaag mein jaaiye.
kya aapko aur bhi madad chahiye?
padhiye
“main yahova ke sakshiyon ki sabhaon mein kyon jaaun?”