is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

galtiyaan hone par main kya karoon?

galtiyaan hone par main kya karoon?

 aap kya kareinge?

gaur keejiye ki karina ke saath kya hua aur fir kalpana keejiye ki vahi aapke saath ho raha hai. agar aap uski jagah par hon to aap kya kareinge?

karina: “main school jaa rahi thi aur gaadi bahot tez chala rahi thi. ek pulisvale ne mujhe roka aur gaadi tez chalane ki vajah se mera chalan kiya. main bahot pareshan ho gayi! mainne apni mammi ko saari baat batayi. unhonne kaha ki mujhe paapa ko sabkuch batana hoga lekin main unhein kuch nahin batana chahti thi.”

aap kya kareinge?

  1. 1. chup raheinge aur yahi ummeed kareinge ki paapa ko iske baare mein kabhi pata na chale.

  2. 2. paapa ko sabkuch bata deinge.

aapko shaayad pehla raasta aasan lage. aapke chup rehne se aapki mammi ko yahi lagega ki aapne paapa ko sabkuch sach-sach bata diya hai. lekin apni galti maan lena hamesha achha hota hai fir chahe aapne gaadi tez chalane ki galti ki ho ya kuch aur.

 apni galti maan lene ki teen vajah

  1. 1. aisa karna sahi hai. maseehi hone ke naate hamein bible ki yah baat maanni chahiye, “hum sab baaton mein imandari se kaam karna chahte hain.”—ibraniyon 13:18.

    “main bahot koshish karti hoon ki main sach boloon aur jald-se-jald apni galtiyaan maan loon.”—alexis.

  2. 2. jo apni galti maan leta hai use log jaldi maaf kar dete hain. bible batati hai, “jo apne apradh chhipaye rakhta hai woh safal nahin hoga, lekin jo inhein maan leta hai aur doharata nahin, us par daya ki jaayegi.”—neetivachan 28:13.

    “apni galti maan lena aasan nahin iske liye bahot himmat chahiye. lekin jab hum aisa karte hain to hum logon ka bharosa jeet paate hain. galti maan lene se kai baar bigadti baat ban jaati hai.”—richard.

  3. 3. sabse badi baat, isse yahova parmeshvar khush hota hai. bible batati hai, “yahova kapti logon se nafrat karta hai, magar seedhe-sachche logon se gehri dosti rakhta hai.”—neetivachan 3:32.

    “ek baar mujhse bahot badi galti ho gayi. fir mujhe ehsas hua ki mujhe aage aakar apni galti maan leni chahiye. agar main yahova ke mutabik kaam na karoon to woh mujhe kaise aasheesh dega?”—rachel.

karina ne jab galti ki to uske baare mein usne kya kiya? usne apne paapa se yah baat chhipaye rakhi ki gaadi tez chalane ki vajah se uska chalan hua hai. lekin yah baat zyada samay tak chhipi nahin rahi. woh kehti hai, “kareeb ek saal baad, jab paapa hamare insurance ke kaagzat dekh rahe the to unhein woh chalan mila aur main pakdi gayi. meri mammi bhi bahot gussa hui ki mainne unki baat nahin maani!”

sabak: karina kehti hai, “agar hum apni galtiyaan chhipayen to baat sirf bigadti hai. kabhi-na-kabhi hamein unka nuksan bharna hi padta hai.”

 apni galtiyon se sabak kaise seekhein

hum sab galtiyaan karte hain. (romiyon 3:23; 1 yuhanna 1:8) aur zaroori hai ki hum fauran apni galti maan lein. jab hum aisa karte hain to hum dikhate hain ki hum samajhdar aur namra hain.

lekin iske aage bhi kuch karna zaroori hai. woh hai, apni galtiyon se seekhna. afsos ki kuch naujavan aisa nahin karte. woh shaayad vaisa mehsoos karte hon jaisa prisilla ne mehsoos kiya tha. woh kehti hai, “main apni galtiyon ki vajah se bahot nirash ho jaati thi. main khud ko gira hua samajhti thi. is vajah se meri galtiyaan mere liye bhaari-bharkam bojh ban jaati thi jise main utha nahin sakti thi. ye bhaavnayen mujh par is kadar haavi ho jaati thi ki mujhe lagta tha ki mera kuch nahin ho sakta.”

kya aap bhi kabhi-kabhi aisa mehsoos karte hain? agar haan to yaad rakhiye: pichhli galtiyon ke baare mein sochte rehna maano aisa hai jaise aap gaadi chalate vakt sheeshe mein peechhe chhooti cheezon ko dekh rahe hain. nateeja, isse durghatna ho sakti hai. agar hum pichhli galtiyon ke baare mein hi sochte raheinge to hamein yahi lagega ki hum kisi kaam ke nahin aur hum aanevali mushkilon ka saamna nahin kar paayenge.

iske bajay, apni galtiyon ke baare mein sahi nazriya rakhiye.

“apni pichhli galtiyon ke baare mein sochna galat nahin hain kyonki in galtiyon se hum seekh sakte hain taaki hum inhein na doharayen. lekin agar hum inke baare mein had-se-zyada sochein to ye hamari himmat tod sakti hain.”—elliot.

“main koshish karti hoon ki main apni har galti se sabak seekhoon aur khud mein sudhar karoon. aur agar mujhse vahi galti dobara ho jaaye to koi doosra tareeka apnaun. aisa karne se hum aur samajhdar insan bante hain.”—vera.