naujavanon ke saval
gandi tasveerein dekhna kyon galat hai?
kya aap gandi tasveeron se nazar fer sakte hain?
agar aap internet ka istemal karte hain, to aaj nahin to kal aapka saamna gandi tasveeronvali website se ho hi jaayega. satrah saal ki hayley kehti hai, “aajkal aapko aisi website dhoondhne ki zaroorat nahin padti, woh aap tak pahunch jaati hai.”
ek aisa insan bhi gandi tasveerein dekhne ke liye lubhaya jaa sakta hai jisne usse door rehne ki thaan li hai. atharah saal ka greg kehta hai, “mainne thaan liya tha ki main apna irada kamzor nahin hone doonga, magar yah kamzor pad gaya. isliye khud par zyada bharosa mat keejiye aur yah mat sochiye ki mere saath aisa kabhi nahin ho sakta.”
gandi tasveeronvali website par jaana aaj pehle se kahin zyada aasan ho gaya hai. aur jab se sexting shuroo hui hai, bahot-se ladke-ladkiyaan khud ki gandi tasveerein lekar ya ashleel video banakar doosron ko bhejte hain.
sau baat ki ek baat: aap jis mushkil ka saamna kar rahe hain, uska saamna shaayad hi aapke maata-pita ya daada-daadi ne kiya ho. magar saval hai ki kya aap gandi tasveeron se apni nazar fer sakte hain?—bhajan 97:10.
beshak fer sakte hain, basharte aap aisa karne ka faisla karein. magar sabse pehle khud aapko yakeen hona chahiye ki gandi tasveerein dekhna galat hai. aaiye dekhein ki is baare mein kuch log jo kehte hain woh sach hai ya jhooth.
sach ya jhooth
jhooth: gandi tasveerein dekhne se mujhe kuch nuksan nahin hoga.
sach: gandi tasveerein dekhna utna hi khatarnak hai jitna cigarette peena.cigarette peene se aapke fefdon ko nuksan pahunchta hai aur gandi tasveerein dekhne se aapka dimag bhrasht ho jaata hai. aapki nazar mein us cheez ka koi mol nahin reh jaata jo parmeshvar ne isliye banayi taaki pati-patni ke beech hamesha ke liye ek atoot rishta ho. (utpatti 2:24) yahaan tak ki kuch samay baad aap sahi-galat ke beech fark karna bhool jaate hain. misal ke liye, kuch visheshagya kehte hain ki jo aadmi lagatar gandi tasveerein dekhte hain unka dil itna kathor ho jaata hai ki unhein aurton par haath uthana galat nahin lagta.
pavitra shastra batata hai ki kuch log sharm-haya ki saari hadein paar kar chuke hain. (ifisiyon 4:19) yaani unka zameer is had tak sunn ho gaya hai ki bure kaam karne par unhein zara bhi afsos nahin hota.
jhooth: gandi tasveerein dekhne se aap sex ke baare mein seekh sakte hain.
sach: gandi tasveerein dekhne se aap sirf apni bhookh mitana seekhte hain. aapki nazron mein log mahaz khilauna ban jaate hain jinse aap apni havas poori kar sakein. isliye jaisa ek adhyan batata hai, yah koi hairani ki baat nahin ki jin logon ko gandi tasveerein dekhne ki aadat hai unhein shaadi ke baad apne jeevan-saathi ke saath sambandh rakhkar bhi santushti nahin milti.
pavitra shastra mein yah badhava diya gaya hai ki hum naajayaz yaun-sambandh, ashuddhta, bekaboo hokar vaasnayen poori karna, buri ichhayen aur laalach, in saari buraiyon se door rahein, jabki gandi tasveerein dekhne se logon ko yahi sab bure kaam karne ke liye uksaya jaata hai.—kulussiyon 3:5.
jhooth: gandi tasveeron se nazar fernevale sex ke baare mein baat karne se jhijhkate hain.
sach: gandi tasveeron se nazar fernevale sex ke baare mein sahi nazriya rakhte hain. woh maante hain ki yah ek tohfa hai jo parmeshvar ne har pati-patni ko diya hai taaki unke shaadi ka bandhan mazboot ho aur woh ek-doosre ka saath nibhane ka vaada poora kar sakein. jo log yah nazriya rakhte hain unhein shaadi ke baad apne jeevan-saathi ke saath sambandh rakhkar zyada santushti milti hai.
pavitra shastra mein sex ke baare mein khulkar bataya gaya hai. misal ke liye, ismein patiyon se kaha gaya hai ki woh apni javani ki patni ke saath khush rahein aur hamesha uske pyar mein doobe rahein.—neetivachan 5:18, 19.
gandi tasveeron se kaise nazar ferein
agar aapmein gandi tasveerein dekhne ke liye zabardast ichha jaagti hai aur aapko lagta hai ki aap khud ko rok nahin paa rahe, to aap kya kar sakte hain? yah abhyas aapki madad kar sakta hai, “gandi tasveeron se kaise nazar ferein.”
yakeen rakhiye ki aap gandi tasveeron se apni nazar fer sakte hain. aur agar aapko iski aadat hai tab bhi aap ise chhudana seekh sakte hain. aisa karne se aapko hi faayda hoga!
calvin ko hi leejiye. woh batata hai ki 13 saal ki umra se hi use gandi tasveerein dekhne ki aadat lag gayi thi. woh kehta hai, “mujhe maaloom tha ki yah galat hai, magar main khud ko rok hi nahin paa raha tha. aur dekhne ke baad mujhe bahot hi bura lagta tha. aakhir mein mere paapa ko pata chal gaya aur sach poochho to main is baat se khush tha! yah aadat chhudane ke liye mujhe jis madad ki zaroorat thi woh mujhe mil gayi.”
calvin ne gandi tasveeron se nazar ferna seekh liya. woh kehta hai, “gandi tasveerein dekhne ki badi galti karke main aaj tak pachhta raha hoon, kyonki jo mainne dekha woh aaj bhi meri aankhon ke saamne aa jaata hai. abhi-bhi kai baar mera man gandi tasveerein dekhne ke liye lalchane lagta hai, magar tabhi main khud ko yaad dilata hoon ki yahova parmeshvar ki marzee ke mutabik kaam karne se main kitna khush hoon, mera zameer saaf hai aur mere paas ek achhe bhavishya ki aasha hai. is tarah main apni buri ichha se lad paata hoon.”