naujavanon ke saval
taal-matol karne ki aadat se kaise chhutkara paaun?
kya aap apna homework aur ghar ke kaam samay par poore nahin kar paate? sabkuch samay par karne ke liye aapko kuch kadam uthane honge. is lekh se aap jaan sakeinge ki aap taal-matol karna kaise band kar sakte hain, fir chahe
yah lekh padhne ke baad dekhiye ki aap taal-matol se jude savalon ke kya javab dete hain, jo lekh ke aakhir mein diye gaye hain.
bible batati hai ki taal-matol karne se kya nuksan hote hain. ismein likha hai, “jo hava ka rukh dekhta hai woh beej nahin boyega aur jo baadlon ko taakta hai woh fasal nahin kaatega.”—sabhopdeshak 11:4.
dhyan deejiye ki kyon kuch log taal-matol karte hain aur yah bhi ki kaise woh apni is aadat se chhutkara paa sakte hain.
aapko woh kaam bahot mushkil lage.
yah sach hai ki kuch kaam itne mushkil hote hain ki unhein karne ka man hi nahin karta. is baare mein kuch badhiya sujhavon par dhyan deejiye.
mushkil kaam ko thoda-thoda karke poora keejiye. melissa batati hai, “mujhe pata hota hai ki main apne kaam mein bahot peechhe chal rahi hoon, fir bhi main ek vakt par ek hi kaam karne ki koshish karti hoon.”
fauran shuroo keejiye. vera kehti hai, “jaise hi kaam mile, fauran shuroo keejiye. zyada kuch nahin to use apne kaamon ki soochi mein jod deejiye ya aapke man mein us kaam se jude jo bhi upay aate hain, unhein likh leejiye, isse pehle ki aap bhool jaayen.”
doosron se madad leejiye. ho sakta hai ki ek vakt par aapke maata-pita aur shikshkon ko bhi aisa hi lagta ho. unse baat keejiye. woh shaayad aapko batayen ki aap woh kaam kaise kar sakte hain aur use poora karne ki yojna kaise bana sakte hain.
sujhav “ek schedule banaiye. iska matlab aapko sabkuch vyavasthit tareeke se karna hoga aur thaan lena hoga ki aap schedule ke mutabik kaam bhi kareinge. isse aapko faayda hoga. aapka har kaam vakt par ho jaayega.”—abbey.
aapka kaam karne ka man na kare.
kai baar jo kaam karna hota hai, usmein kuch baatein bahot ubaoo lagti hain. aise mein aap kya kar sakte hain? neeche diye gaye sujhavon par dhyan deejiye.
sochiye ki ise karne se kya faayda hoga. jaise, sochiye ki kaam poora hone par aapko kitna achha lagega. amy kehti hai, “koi kaam vakt par ya usse pehle poora karne par mujhe bahot achha lagta hai. fir main chain se reh paati hoon.”
sochiye ki kaam taalte rehne se kya nuksan hoga. jab aap kaam taalte rehte hain, tab aapki chinta badh jaati hai . iske alava aapko woh faayda bhi nahin hoga, jo samay par kaam karne se hota hai. bible mein likha hai, “ek insan jo bota hai, vahi kaatega bhi.”—galatiyon 6:7.
yah maankar chaliye ki kaam poora karne ki taareekh se ek-do din pehle hi aapko woh kaam poora karna hai. aaleesya kehti hai, “jab main yah maankar chalti hoon ki kisi kaam ko mujhe uski aakhiri taareekh se ek-do din pehle hi poora karna hai, to isse mujhe bahot madad milti hai. main apne kaam ki dobara jaanch kar paati hoon aur mere ek-do din bach bhi jaate hain.”
sujhav “sabkuch aapki soch aur man par nirbhar karta hai. khud se kahiye ki aapko jo kaam karna hai, use aap zaroor kareinge. kisi bhi baat ko aade nahin aane deinge. jab main khud se aisa hi kehti hoon, to jo kaam mujhe karna hota hai, woh main poora kar paati hoon.”—alexis.
aap bahot vyast rehte hon.
nathan kehta hai, “log mujhe aksar aalsi bulate hain. lekin unka aisa kehna sahi nahin hai! unhein kya pata ki mere paas kitna kaam hai!” agar aapko bhi aisa hi lagta hai, to aage bataye sujhavon par dhyan deejiye.
pehle aasan kaam keejiye. amber kehti hai, “ek baar kisi ne mujhse kaha ki agar kisi kaam mein paanch minat se kam samay lage, to use fauran kar dena chahiye. jaise, kuch saaf karna, kapde sukhana, bartan dhona ya kisi ko fon karna.”
tay keejiye ki kaun-saa kaam pehle karna hai. bible mein likha hai, ‘pehchaniye ki zyada ahmiyat rakhnevali baatein kya hain.’ (filippiyon 1:10) aap kaise pehchaneinge ki aapke roz ke kaamon mein kaun-se kaam zyada zaroori hain? anna kehti hai, ‘main apne paas saare kaamon ki ek soochi rakhti hoon, jismein likha hota hai ki kaun-se kaam kis taareekh par hone hain. lekin us soochi mein, main yah bhi likhti hoon ki har kaam mujhe kab shuroo karna hai aur kab khatm karna hai.’
kya aisa karna bandish lagta hai? zara fir sochiye. jab aap schedule banate hain, to vakt aapke haath mein rehta hai, na ki aap vakt ke haath mein. isse aapka tanav kam ho sakta hai. kelly kehti hai, ‘kisi kaam ke baare mein pehle se soch lene se main hadbadi mein nahin rehti aur baaki kaamon ke liye bhi ek sahi yojna bana paati hoon.’
dhyan bhatkane vaali baaton se bachiye. jennifer kehti hai, “main apne ghar mein har kisi ko bata deti hoon ki main kab apna kaam shuroo karnevali hoon. main unse yah bhi kehti hoon ki agar unhein mujhse kuch karvana hai, to mera kaam shuroo hone se pehle hi mujhe bata dein. main apna fon aur email alert bhi band kar deti hoon.”
sujhav “jab tak aap apne kaam poore nahin kar leinge, unse aapka peechha nahin chhootega. unke baare mein soch-sochkar pareshan hone ke bajay unhein khatm keejiye. isse aapka baaki din chain se katega.”—jordan.