parivar ke liye madad | bachchon ki parvarish karna
bachchon ke liye padhna kyon zaroori hai?—bhaag 2: phone se ya kitab se?
aapka bachcha kisse padhna pasand karta hai, phone * se ya kitab se?
bahot-se bachche phone se padhna pasand karte hain. dr. jean m. twenge kehti hain, “aajkal ke bachche bachpan se hi phone ya computer chalana seekh rahe hain. unhein ek click karke koi link kholna ya agle page par jaana zyada aasan lagta hai. is vajah se unhein kitab se padhna pasand nahin aata ya boring lagta hai.” *
phone se padhne ke beshak kuch faayde hain. bees saal ka john kehta hai, “main jis school mein jaata tha, vahaan par computer ya tablet se padhai hoti thi. usmein main koi bhi jaankari chutkiyon mein dhoondh leta tha.”
phone se padhne ke aur bhi faayde hain. jaise, aap kisi shabd par touch ya click karke uska matlab jaan sakte hain, kisi vishay se jude audio play kar sakte hain ya video dekh sakte hain ya fir koi link kholkar jaankari padh sakte hain. to kya kitabon se padhne ka koi faayda nahin?
kai log jab gehrai se adhyan karte hain to unhein kitab ka istemal karna zyada pasand hai. kyon?
dhyan dena: nathan naam ka ek naujavan kehta hai, “jab main phone ya computer se padhta hoon, to kai baar pop-ups aur message aa jaate hain aur isse mera dhyan bhatak jaata hai.”
20 saal ki karen kehti hai, “jab main phone ya tablet se padhti hoon, to kai baar mera man karta hai ki main koi aur app khol loon ya koi game khel loon.”
pavitra shastra se salah: ‘apne vakt ka sahi istemal karo.’—kulussiyon 4:5.
zara sochiye: jab aapka bachcha phone se padhai karta hai to kya uska dhyan aasani se bhatak jaata hai? aise mein aap uski madad kaise kar sakte hain?
sujhav: apne bachche ko samjhaiye ki agar woh phone par kuch aur dekhne lagega, to use apna homework poora karne mein aur bhi zyada samay lagega. fir woh doosri cheezen nahin kar paayega jo use pasand hain.
samajhna: sahi maaynon mein maa-baap baniye (angrezi) kitab mein likha hai, “kai adhyaynon se pata chala hai ki jab log phone se padhte hain, to woh baaton ko utni achhi tarah nahin samajh paate jitna ki kitab se padhne par.”
iski ek vajah yah hai ki jab log phone par kuch padhte hain to woh nazar daudate rehte hain. woh baaton ko dhyan se nahin padhte aur naa hi rukkar unke baare mein sochte hain. ek lekhak nicholas carr kehte hain, “jab hum internet ka istemal karte hain to hum kam samay mein zyada-se-zyada jaankari haasil karna chahte hain.” *
kai baar jaankari par ek nazar daalna faaydemand ho sakta hai. lekin iska ek nuksan bhi hai. lekhak carr kehte hain, ‘jaldi-jaldi padhna hamari aadat ban sakti hai.’ agar aapke bachche ko yah aadat lag jaaye, to woh jaankari dhyan se nahin padhega aur woh use samajh bhi nahin paayega.
pavitra shastra se salah: “tu jo kuch haasil kare, uske saath samajh bhi haasil karna.”—neetivachan 4:7.
zara sochiye: kisi vishay ko achhi tarah samajhne ke liye aap apne bachche ko kitabon mein ya phone mein khojbeen karna kaise sikha sakte hain?
sujhav: aisa mat sochiye ki kitab se padhna zyada behtar hai ya phone se padhna zyada behtar hai. donon ke apne-apne faayde hain. kai baar to dekha gaya hai ki phone aur computer mein aisi khaasiyatein hoti hain jinki madad se bachche baatein aur bhi achhi tarah samajh paate hain. isliye jab aap apne bachchon se baat karte hain ki kisse padhna achha hai, phone se ya kitab se, to donon ke faayde aur nuksan ke baare mein bataiye. yah bhi yaad rakhiye ki har bachche ki seekhne-samajhne ki kaabiliyat alag hoti hai.
yaad rakhna: scientific american patrika mein ek lekh aaya tha jismein ferris jabr ne likha, ‘kitab se padhne ke mukable jab hum phone ya computer se padhte hain, to hamara dimag jaldi thak jaata hai aur padhi baatein yaad rakhna hamare liye mushkil ho jaata hai.’
kitab se padhne ka ek faayda yah hai ki aapne koi baat jis page par padhi, uski tasveer aapke man mein chhap jaati hai. fir jab aapko woh baat dobara padhni ho to aap turant us page par jaa sakte hain.
iske alava, khojkartaon ne paaya ki jo log kitab se padhte hain woh baatein zyada achhe-se yaad rakh paate hain. woh isliye ki woh kitab se zyada achhi tarah seekh paate hain.
pavitra shastra se salah: “jo buddhi tujhe faayda pahunchati hai use sambhaalkar rakhna aur apni sochne-parakhne ki shakti gava na dena.”—neetivachan 3:21.
zara sochiye: kya aapke bachche ko kuch padhkar samajhne ya yaad rakhne mein mushkil hoti hai? agar haan, to aap use achhe-se padhai karna kaise sikha sakte hain? kya uske liye kitab se padhna zyada faaydemand rahega?
sujhav: yah mat sochiye ki aapke bachche ko kisse padhna zyada pasand hai, balki yah sochiye ki woh kisse padhne se zyada seekh paayega. kai baar log bolne ko to bol dete hain ki woh phone se zyada achhi tarah padh paate hain, par hakeekat kuch aur hoti hai.