kya bible mein insanon ki buddhi-bhari baatein likhi hain?
shastra se javab
bible ko pavitra shastra bhi kaha jaata hai. ismein bahot-si buddhi-bhari kahavatein likhi hain. lekin, gaur keejiye ki bible apne baare mein kya daava karti hai: “poora shastra parmeshvar ki prerna se likha gaya hai.” (2 timuthiyus 3:16) is daave ko sach saabit karne ke liye kaafi saboot hain. zara in baaton par dhyan deejiye:
bible mein itihas ke baare mein jo bataya gaya hai, use aaj tak koi bhi galat saabit nahin kar paaya hai.
bible ke lekhak imandar log the, jinhonne bina kuch chhipaye baaton ko darz kiya. unki imandari se saaf pata chalta hai ki unki likhi hui baatein sachchi hain.
bible ka ek mukhya vishay hai: insanon par raaj karne ke parmeshvar ke hak ko sahi saabit karna aur swarg ke raaj ke zariye uska maksad poora karna.
haalaanki bible hazaron saal pehle likhi gayi thi, fir bhi bible mein vigyan se judi aisi koi bhi galat dhaarnayen nahin, jinhein purane zamane ke zyadatar log sach maante the.
itihas mein darz saboot dikhate hain ki bible ki bhavishyavaniyaan, ya bhavishya ke baare mein kahi gayi baatein poori hui hain.