kya dhoomrapan karna paap hai?
shastra se javab
bible mein dhoomrapan karne * ya kisi aur tareeke se tambakoo ka sevan karne ke baare mein nahin bataya gaya hai. magar ismein diye siddhaanton se pata chalta hai ki parmeshvar un aadaton se khush nahin hota, jo gandi hain aur jinse hamare shareer ko nuksan hota hai. isse hum samajh sakte hain ki parmeshvar dhoomrapan ko paap samajhta hai.
jeevan ki kadar. ‘parmeshvar sabko jeevan aur saansein deta hai.’ (preshiton 17:24, 25) jeevan parmeshvar ki taraf se ek tohfa hai, isliye hamein cigarette peene jaisi buri aadaton mein nahin padna chahiye, jinki vajah se hamari jaldi maut ho sakti hai. poori duniya mein dhoomrapan ek badi vajah hai, jisse logon ki maut hoti hai, jabki log is tarah ki maut se khud ko bacha sakte hain.
logon ke liye pyar. “apne padosi se vaise hi pyar karna jaise tum khud se karte ho.” (matti 22:39) lekin dhoomrapan karne par hum logon ke liye pyar nahin zahir kar rahe hote hain. jo beemariyaan dhoomrapan karnevalon ko lagti hain, unke lagne ka zyada khatra un logon ko rehta hai, jo dhoomrapan to nahin karte, magar dhoomrapan karnevalon ke aas-paas rehte hain.
pavitrata. “apne shareer ko jeevit, pavitra aur parmeshvar ko bhaanevale balidan ke taur par arpit karo.” (romiyon 12:1) “aao hum tan aur man ki har gandgi ko door karke khud ko shuddh karein aur parmeshvar ka dar maante huye poori had tak pavitrata haasil karein.” (2 kurinthiyon 7:1) dhoomrapan karna swabhavik nahin hai aur aisa karne se insan pavitra nahin rehta yaani woh shaareerik taur par saaf aur shuddh nahin rehta. woh isliye ki tambakoo ka sevan karnevale apne shareer mein aisa padarth lete hain, jiske baare mein woh jaante hain ki woh shareer ke liye haanikarak hai.
bible ke mutabik kya maze ke liye gaanja ya doosre drugs lena sahi hai ya galat?
bible mein charas-gaanja ya doosre drugs ka zikra nahin hai, magar ismein aise siddhaant diye gaye hain, jinse pata chalta hai ki in cheezon ka nasha karna galat hai. hamne ab tak jin siddhaanton ke baare mein charcha ki hai, woh to laagoo hote hi hain aur aage diye gaye siddhaant bhi:
sochne-samajhne ki shakti. ‘tum apne parmeshvar yahova se apne poore dimag se pyar karna.’ (matti 22:37, 38) “poore hosh-havaas mein raho.” (1 patras 1:13) drugs lene se ek vyakti hosh mein nahin rehta hai. bahot-se logon ko iski lat pad jaati hai. woh har vakt bas use paane aur uska istemal karne ke baare mein sochte rehte hain, woh achhi baatein soch nahin paate.—filippiyon 4:8.
desh ke kaanoon ka paalan. “sarkaron aur adhikariyon ke adheen rahein.” (titus 3:1) bahot-se deshon mein kuch drugs ke istemal ke baare mein sakht niyam hain. parmeshvar ko khush karne ke liye zaroori hai ki hum adhikariyon ke niyamon ko maanein.—romiyon 13:1.
^ para. 1 yahaan dhoomrapan karne mein kai baatein shaamil hain, jaise, cigarette ya cigar peena, hookah ya chilam peena. magar yahaan bataye siddhaant tambakoo chabane, paan-supari khaane, sunghani soonghane, i-cigarette peene ya doosre kisi aise padarth ka sevan karne par bhi laagoo hote hain, jismein nicotine hota hai.