is jaankari ko chhod dein

kya pavitra shastra punarjanm ke baare mein sikhata hai?

kya pavitra shastra punarjanm ke baare mein sikhata hai?

shastra se javab

nahin. na to bible mein kahin “punarjanm” shabd aata hai, na hi bible ki kisi aur aayat mein is tarah ka vichar diya gaya hai. punarjanm ki shiksha is baat par aadharit hai ki insan ke andar amar aatma hoti hai jo marne ke baad bhi zinda rehti hai. * jabki bible aisa nahin sikhati. yah batati hai ki insan mitti se bana hai aur marne ke baad poori tarah khatm ho jaata hai, uske andar saaye jaisi koi cheez nahin jo nikalkar idhar-udhar bhatakti hai. (utpatti 2:7; yahejkel 18:4) marne ke baad ek insan ka kuch bhi zinda nahin bachta.—utpatti 3:19; sabhopdeshak 9:5, 6.

punarjanm aur punrutthan ki shiksha mein kya fark hai?

bible punrutthan ki shiksha sikhati hai, lekin yah amar aatma ki shiksha par aadharit nahin. punrutthan ka matlab hai, jo log mar chuke hain woh parmeshvar ki shakti se dobara zinda kiye jaayenge. (matti 22:23, 29; preshiton 24:15) yah shiksha hammein ummeed jagati hai ki agar hum mar bhi jaayen to hamein nayi duniya mein fir se zinda kiya jaayega aur hum fir kabhi nahin mareinge.—2 patras 3:13; prakashitvakya 21:3, 4.

punarjanm aur bible ke baare mein kuch galatfehmiyaan

galatfehmi: bible kehti hai ki bhavishyavakta eliyyah ka punarjanm yuhanna baptisma denevale ke roop mein hua.

sachchai: parmeshvar ne bhavishyavani ki thi, “main tumhare paas eliyyah nabee ko bhejoonga” aur yeeshu ne bataya ki yah bhavishyavani yuhanna baptisma denevale par poori hui. (malaki 4:5, 6; matti 11:13, 14) lekin iska matlab yah nahin ki eliyyah ne yuhanna baptisma denevale ke roop mein janm liya. yuhanna ne khud kaha ki woh eliyyah nahin hai. (yuhanna 1:21) magar yuhanna ne eliyyah ke jaise kaam kiye yaani usne bhi logon ko parmeshvar ka sandesh sunaya ki woh pashchatap karein. (1 raja 18:36, 37; matti 3:1) yuhanna ne bhi ‘parmeshvar ke aage eliyyah jaisa josh aur shakti’ dikhayi.—luka 1:13-17.

galatfehmi: jab bible “dobara paida hone” ke baare mein batati hai to iska matlab hai punarjanm.

sachchai: bible sikhati hai ki ek insan jeete-ji dobara paida ho sakta hai kyonki jab bible dobara paida hone ki baat karti hai to iska matlab sachmuch janm lena nahin hai. (yuhanna 1:12, 13) is tarah se dobara janm lena isliye nahin hota ki us insan ne pichhle janm mein achhe karm kiye the, balki yah parmeshvar ki taraf se mili aasheesh hai jisse us insan ko bhavishya ke liye ek anokhi aasha milti hai.—yuhanna 3:3; 1 patras 1:3, 4.

^ para. 1 amar aatma aur punarjanm ki shiksha pracheen baibilon se nikli hai. aage chalkar, bhaarat ke daarshanikon ne ise “karm” ki shiksha ka roop diya. angrezee ki kitab poori duniya ke dharmon par encyclopedia britannica  ke mutabik karm ki shiksha sikhati hai, “ek insan jaisa karega vaisa bharega yaani woh apni zindagi mein jaise kaam karta hai, agle janm mein use vaisa hi fal milega.”—page 913.